Home   »   IBPS RRB PO VIII Interview Experience...

IBPS RRB PO VIII Interview Experience – Simmi Choudhary

Hello! My name is Simmi Choudhary. I am going to share IBPS RRB VIII Interview Experience. Hope it will help other banking aspirants.

Name: Simmi Choudhary
State: Gujrat
Time duration: 12 Minutes
Panel Member: 1 Males and 2 Female
M – suman, to suman apne bare me btao
Me – answered
M – aapki family ke bare me
Me – answered
M – aapko kya pasand hai aapki hobby kya hai
Me – answered ,books reading, audiobooks, writing journal
M – acha, to or kuch aapke bare me
Me- sir maine Taekwondo bhi khela hai 3 years
M- ok, to aap punch lga doge fir (with smile)
Me- sir isme hand se defend krna hota hai or legs se kick krna hota hai
M – ok, to aapne BCA kiya hai 2015 mein tab se bank ki kr rhe ho?
Me- sir maine 2 years tk network marketing ki uske bad bank ki preparation start ki
M – to network marketing ke bare me kya jante ho
Me- sir usme company ke product ko sale krna hota tha customer ko convince krke
M – acha , to ese smjho hum tino aapke customer hai , mere pas ye MI ka ph hai or aap hme iph sale krna chahte ho, kse kroge?
Me – answered
M- to suman aapne 2015 me graduation ki hai,kuch yad hai subs k bare me
Me- sir thoda thoda
M- ok, konsa sub yad hai
Me- sir MIS & cryptography
M- ok , explain krdo
Me- sir MIS me information ko manage krna hota hai systematically ek jagah database bnake , and sir cryptography me info ko secret coded form me encode krna hota hai taake data secret rhe end user tak fir use decode krke read kiya jata hai.
M- ok , aap kuch puchoge mam, (said to one female )
F1 : ok, to aapne btaya aapki hobby book pdhna , audiobooks sunna pasand hai , recently konsi book pdhi hai
Me : yes mam, recent maine The Alchemist pdhi hai
F1 : author kon hai
Me: mam , The Paulo Coelho
F1: ok, story bta skte ho short me
Me: answered
F1 : Alchemist ka meaning kya hota hai
Me: sry mam ye dhyan nhi hai
F1 : ok , ghr jake iska meaning dekhna
Me: ok mam ,
F1 : ok, to banking me aapko kya aata hai?
Me : mam basic banking ka knowledge hai, jse ki RBI ke bare me
F1: ok bta do RBI k bare me
Me: answered well
F1 : ok , aapne PM Suraksha bima yojna k bare me suna hoga , can u explain?
Me: yes mam, answered
F1: aur Atal pension yojana?
Me: answered
F1 : PM jivan jyoti bima yojana?
Me: answered
then sir asked again
M: credit risk ke bare me kuch bta skte ho
Me: sir thoda thoda pta hai properly nhi
M: with smile , chlo andhere me teer marke bta do
Me: with smile , sir jab bank customer ko loan deta hai or kisi wajah se wo loan recover nhi ho pata hai to ye bank ke liye ek risk hai ise credit risk khte hai
M: very good ,shi btaya hai aapne, ok , what do u mean by risk
Me: sir risk jaise ki market risk, operation risk…
M: no, ye nhi btana, mera matlb hai jo risk word hai uska meaning btana hai
Me : sry sir proper mean nhi pta
M: risk mean uncertainty
Me: yes sir , i got it
M : gujrati aati hai aapko?
Me: sir thodo thoda sikh rhi hu puri nhi aati abhi
M: to fir aap customer se kse bat kroge
Me: sir maine form fill kiya jab dekha tha 6 month ka time dete hai or mai dheere dheere sikh jaungi , samjh aati hai bolni nhi aati abhi or Rajasthani or Gujarati milti julti hai mai sikh lungi
M: ok , to aage kya ichaye hak aapki
Me: sir mai is job me aana chahungi or mai hmesha hard work ke liye tyar rhungi or mai hmesa se active rhi hu mere ander leadership quality hai or clg me b mai volunteer rhi hu or army family se belong krti hu hmesa hard work krte dekha hai us mahol me mai bhi rhi hu army k to sir mai hmesa chizo ko handle kr paungi
M: ok, aap kabhi bank me gye ho?
Me: yes sir
M: konse bank me ?
Me: sir SBI me
M: wha aapne dekha hoga clerk jo hota hai wo customer se thik se pesh nhi aata hai ?
Me: yes sir but ho skta hai uspe work load ho , unki apni kuch problem ho
M: ese me aap kya kroge
Me: sir mere papa ne hmesa ek chiz boli hai , hmesa customer ka kaam jrur krna hai uski help krni hai , wo dukhi hoke na jaye
then F1 asked
F1: aap gaav me kr paoge
Me: yes mam,bcoz mera bachpan gaave me hi beeta hai mai smjh paungi , gaav ki mahilaao ko bhi promote krungi unse ache se bat kr skti hu kyuki mai b ek famale hu , unki chhoti chhoti save hoti h unko deposit krwane k liye , or camp organise kr skti hu
F1 : satisfied
then sir asked to another female , kuch puchna hai ..
F2 : what is crypto currency?
Me: answered, digital currency jise chhu nhi skte like Bitcoin
F2: what is digital banking?
Me: answered
F2: aap krte ho use ,
Me: yes mam, paytm payment bank
F2: ok.
M: ok suman , acha btaya aapne , aapka din acha ho.
Me: thanku sir

Then  I thanked to all members.

Test Prime For All Exams 2024